((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Muhabbat phool hai “sawan” kaho tou phool ban jaun,
Tumari zindgi ka aik haseen usool ban jaun,
Suna hai rait pe chal ke tum aksar mehak jate ho,
Kaho tou ab ki baar mei zameen ki dhool ban jaun,
Bahut nayaab hote hain jine tum apna kehte ho,
Izazat do ki mei bhi iss kadar anmol ban jaun.
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Maqrooz k bigray huye halaat ki manind,
Majboor k honton pe sawalaat ki manind,
Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hay,
selaab mein barbad makanaat ki manind,
mein un mein bhatakte huye jugnu ki tarha hun,
us shakhs ki aankhain hain kisi raat ki manind,
Dil roz sajata hun mein Dulhan ki tarhan se,
Gham roz chalay atay hain Baraat ki manind,
Ab ye bhi nahi yaad k kia naam tha us ka,
jis shakhs ko maanga tha manajaat ki manind,
kis darja muqaddas hay tere qurb ki khawhish,
Masoom se bachay k khayalaat ki manind,
us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hay,
mein pyas ka sehra hun, wo barsat ki manind.
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
“Barishon k mosam me,
Dil ki sarzaminon par,
Gard kyun bikharti hai ?
Is tarhan k mosam me,
Phool kyun nhi khiltey ?
Log kyun nhi miltey ?
Kyun faqat yeh tanhai saath saath rehti hai ?
Kyun bicharney waalon ki,
Yaad saath rehti hai ?
Itni tez barish se,
Dil k aainey par se,
Aks kyun nhi dhultey ?
Zakham kyun nhi siltey ?
Neend kyun nhi aati ?
Barishon k mosam me,
Aankh kyun barasti hai ?
Ashk kyun nhi thamtey ?
Barishon k mousam me,
Log kyun nhi miltey. ..?
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Ranj ki jab guftaguu hone lagi
Aap se tum tum se tuu hone lagi
Chaahiye paiGambar dono taraf
Lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagi
Meri rusawaai ki naubat aa gai
Unaki shoharat quu-ba-quu hone lagi
Naazir bar gai hai is qadar
Aarazuu ki aarazuu hone lagi
Ab to mil kar dekhiye kyaa rang ho
Phir hamaari justajuu hone lagi
`sawan` itaraaye hue phirate hai.n aap
Shaayad unaki aabaruu hone lagi
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
log bevajah udaasii kaa sabab poochein gay..
ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaaN kyuuN ho
ungaliyaa.N uthein gi sukhay huye baaloon kii taraf
ik nazar dekhein gay guzaray huway saaloon kii taraf
chooriyoon par bhi kai tanz kiyay jaaein gay.
kanptay haathoon pay bhii fikray kasay jaaein gay..
log zaalim hein har ik baat kaa taanaa dein gay
baatoon baatoon mein meraa zikr bhii lay aayein gay..
unki baatoon kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
warna chehray kay ta-asur se samajh jayein gay..
chahay kuch bhii ho savaalaat na karanaa unsay
meray baaray mein koi baat na karna unsay
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii…!!
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Be khwab lamho ka
Parastar kon ha,,,
Itni udaas raat main Baidar kon ha,,,
Kis ko ye fikr ha
K Qabeeley ko kya howa…..?
Sb es pa larr rahe hain K sardaar kon ha,,,
100 kashtiyan jala k Chaly sahilon se hum,,,
Ab tm ko kya batayein K us paar kon ha,,,
Ye faisla to shayed Waqt b na kar saky,,,
Such kon bolta ha Adakaar kon ha,,,
Zamaney guzar gaye Ye sochtey
MOHSIN
Main kis ko kahon Apna,
Mera ghum khawar kon hai
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan
Yaad kya tujh ko dilaayain tera paimaan, jaanaan
Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan, jaanaan
Zindagi teri ataa thee tu tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan, jaanaan
Dil yeh kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karain dil tu nadaan, jaanaan
Awwal-awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar
Be-peyey bhi tera chehra thaa gulistaan, jaanaan
Aakhir-aakhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahee
rag-e-meena sulag utthi ke rag-e-jaan, jaanaan
Muddattoon se yehi aalam na tawaqoo na umeed
Dil pukaare hi chala jaata hai janaan, jaanaan
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main
Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main
Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main
Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath
Har roz ek shakhs naya dekhta hun main
Na jane kis ada se liya tune mera nam
Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main
Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
Do char sal umr mein tujhse bara hun main
Jaga hua zamir wo aina hai “Qateel”
Sone se pahale roz jise dekhta hun main…
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
ab muhabbat ki wakalat nhi ki ja sakti
shehr bhr se to adawat nhi ki ja sakti
mera chehra meri ankhien hain salamat ab bhi
kon kehta hai wazahat nhi ki ja sakti
baat ye hai k koi toot k chahey to sahi
hr kisi se to muhabbat nhi ki ja sakti
aankh kehti hai kahin or chaley jayen hm
dil ye kehta hai k hijrat nhi ki ja sakti
loh-e-dil pr yehi tehreer likhi hai jana
ishq walon ko naseehat nhi ki ja sakti
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Tere aane ka silsila nikla,
Thoda socha to ye pata nikla,
Ranj ka sara khel hai chahat,
Sab ka ek ye hi fesla nikla,
Door duniya se ghar basa leta,
Par mera ghar tera dayera nikla,
Mere bare mai sochta hai wo,
Kaise wo bawafa nikla,
Kaisi ye aag hai bata de mujhe,
Jisko dekha wo diljala nikla,
Baat bebaat ka fasana tha,
Kitna muddat mai fesla nikla,
Jiske ghar mera aana jana tha,
Wo shaksh mujhe mar mita nikla,
Aaj to had hi ho gayi “sawan”
Bewafa sara kafila nikla.
((((¯’·.¸(n?) •?•?• (?n)¸.·’ ´¯))))
Bara dushwaar hota hai
zara sa faisla karna
k jeevan ki kahaani ko biyaan e be-zubaani ko
kahaan se yaad rakhna, kahaan se bhool jana hai
ussay kitna batana hai,ussay kitna chupana hai
kahaan ro ro k hansna hai
kahaan hans hans k rona hai
uss anchal k kisi konay ko kitna bhigona hai
kahaan awaaz deni hai
kahaan khaamosh rehna ha
kisi dukh ko kahaan par
koun si shiddat se kehna hai
kahaan raasta badalna hai
kahaan se laut aana hai
zara sa faisla karna
((((¯’·.¸(n?) •?sAwAn?• (?n)¸.·’ ´¯))))